kuch kuch main ab badlne laga hun

kuch kuch main ab badlne laga hun,
tujhsa ab main dhalne laga hun
har raah pe roushni hai andhera bhi,
ab gir gir ke sambhlne laga hun

beprawhi thi bephikri thi
bezindagi berukhi bhi thi hum me
ye kya hua hai in dino mujhko
main kahan ab ye uljhne laga hun
wo aur hai ya sayad chand hain
ye tasweer hai ya khud tu hai
kuch to hai aaj saam chat pe,
main kyun phir barf sa piglne laga hun

Comments

Popular posts from this blog

मना लो जस्न मेरी बर्बादी